Aadhaar Card Me Mobile Number Kaise Check Karen?
Kya aap aadhar card mei mobile number kaun sa hai iske bare mein search kar rahe hain? Agar aisa hai toh aap bilkul sahi jagah par aaye hai. Kyunki Aaj hum aapko aadhaar card mei mobile number check karne ke methods ke baare mei btayenge.
Is post ko read karne ke baad aadhaar card mei aapke mobile number se related jitne bhi questions hai unke aapko answer mil jayenge.
Aadhaar Card Me Mobile Number Kaise Check Karen?
Aadhar card mei mobile number check karne ke Kafi methods hain jin mei se kuch methods ke bare mein Ham aapko detail mein batane ja rahe hain.
- Aap apne mobile number ko Aadhar card mein check karne ke liye UIDAI ki official website ka istemal kar sakte hain.
- Aap Aadhar card mobile number check karne ke liye maadhaar app ko apne mobile phone mein download karke vahan se apnn aadhar card mei mobile number check kar sakte hain.
Metod 1: UIDAI ki Website Se Aadhar Card Mei Mobile Number Check Kaise Karen?
- Sabse pahle aapko UIDAI ki website per jana hai.
- Fir “Aadhar service section” mei jakar “verify Aadhar number” ke option per click karna hai.
- Fir aapko apna 12 digit ka Aadhar number bharna hai.
- Fir aapko captcha code ko solve karna hai aur proceed to verify ke option per click karna hai.
- Uske bad aapke samne Ek Naya page open hoga jahan per aapko Apne registered mobile number ke last 3 digits dikhai denge aur first 7 digits per cross laga hua dikhai dega. Jisse aapko pata chal Jayega ki aapke Aadhar card mein aapka kaun sa mobile number registered hai.
Method 2: mAadhar App se Aadhar Card Mei Mobile Number Check Kaise Karen?
- Sabse pehle aapko apne phone mein mAadhar app Ko download karke install karna hai.
- Fir aapko app mei login karna hai.
- Uske baad aapko “Aadhar service” per click karna hai or uske baad “Verify Aadhar ” ke option par click karna hai.
- Fir aapko apna Aadhar card number bharna hai aur captcha ko solve karna hai.
- Uske bad aapke samne aapke aadhar card mei apke mobile number ke last 3 digits dikh jayenge.
Iske alava aur bhi Kafi methods hai Jinka istemal Karke aap apne Aadhar card mei mobile number check kar sakte. Uske liye aap hamari website welovewrite.com par visit kar sakte hai.
Aapke saath post ko share karne ka hamara motive aapko correct information provide karna hai. Taki aapko aadhaar card se related information ko dekhne ke liye different different website par visit na karna pde aur aapka time bhi barbaad na ho.
Conclusion
Umeed karte hai ki hamare dwara share kari gae information aapke liye faydemand sabit hogi aur is information ko read karne ke baad aap bhi ghar baithe asani se apne aadhaar card mei mobile number ko check kar payenge.
Agar aapko information pasand aayi ho ya fir aap hume is information se related koi suggestion dena chahte hai to aap hume neeche comment box mei comment kar sakte hai.